SAPNE
Sapne dekho, Sapne dekhna zaroori hai,
Aanke khol kar ya karke band, parwah nahi,
Sapne dekho, Sapne dekhna zaroori hai.
Band aanko ke khwabo mai mana manjil nahi,
Par ummedon se bare armaan unmai bhee, hai kaee,
Sapno se na darna, sapne dekhna zaroori hia.
Raaton ke sapno mai mana roshani ki thodi kami hai,
Par uth kar unmai ujala bharna, bhee asambhav nahi hia.
Sapne dekho, Sapne dekhna zaroori hai.
Khuli aankho se dikhe jo khwab, woh bhee galat nahi,
Insani fitrat mai doobe woh pahad, mange bas ek himmat nayi
Sapne dekho, roz dekho, aur Sapne dekho kai.
Sapne toh bade bechare hai, galatfaimi ke khamakha mare hai,
Sirf sach he toh woh batate hai, humko alsi darpan dikhate hai,
Sapno ki hai paribhasha kai, jo bhee uthalo, wahi hai sahi.
Middle class ke sapne salary aur EMI’o mai bat jate hai,
Har mah kuch sapne jiye aur kai mar jatte hai,
Sapno ka par koi mool nahi, sapne sapne he kellate hai.
Garib ke sapne middle class ki hakikat,
Aur middle class ke khwab, elitist’s ka haal batlate hai,
Sapno ka kya dosh, woh toh kewal haal-e-dil jatate hai
Sapne dekho, Sapne dekhna zaroori hai,
Aanke khol kar ya karke band, parwah nahi,
Sapne dekho, Sapne dekhna zaroori hai.
Sapne hai kai prakar ke, atte hai har aakar ke,
Kabhi nai gadi ki khushboo, toh kabhi janu ki saree ka pallu,
Sapne bikte hai bazar mai, sapno se hai bhramand yeh.
Moh maya ka bandhan yeh sapne,
Apni kaya ka darpan yeh sapne,
Sapne khyal –o-khuab hai,
Apne andar ka dwar hai.
Nav ras ka yeh parmand hai,
Gat aur anagat kaal hai,
Dev aur asur ka jaal yeh sapne,
Toh kabhi Apsarao ka disco dance yeh sapne.
Sapne dekho, Sapne dekhna zaroori hai,
Aanke khol kar ya karke band, parwah nahi,
Sapne dekho, Sapne dekhna zaroori hai.