Tuesday, April 26, 2016

Bachpan kho raha hai

Bachpan kho raha hai


Bachpan kho raha hai,
Usse koi bachao!

Vo school ke baag mai titli pakadna,
Vo bheegti ghass mai,
Masumiyat ke sath kudna yaad hai?

Aaj palat ke dekhta hun jab mai,
Unn baagon mai kaun khelta hai ab,
Aur kya hota hai uss barish ke aalam mai?

Dikhta hai toh sirf andhera,
Kahin latakta unn bejaan jhoolon mai, jaha kabhi bachpan ka shor gunjta tha.

Vo sadak ke beech mai ithen(Brick) lagakar cricket khelna, Aur diwaaron pe nishan lagake football marna yaad hai?

Kho gaya hai bachpan,
Kho gaye woh khel.

Un sadko pe ab sirf kaanch ki tooti botalen nazar aati hai, Un deewaron sirf paan ki peek he ab baaki hai.

Woh hath jinmai hote the ballee, ab cigarette nazar ati hai.
Woh baal the jo chotiyo mai lipte,
Ajeeb rango mai bikhre pate hai.

Bachpan kho raha hai,
Usse koi bachao!
Masumiyat kho rahi hai,
Usse koi bachao! 

No comments:

Post a Comment