Tuesday, June 7, 2016
Tuesday, April 26, 2016
Bachpan kho raha hai
Bachpan kho raha hai
Bachpan kho raha hai,
Usse koi bachao!
Vo school ke baag mai titli pakadna,
Vo bheegti ghass mai,
Masumiyat ke sath kudna yaad hai?
Aaj palat ke dekhta hun jab mai,
Unn baagon mai kaun khelta hai ab,
Aur kya hota hai uss barish ke aalam mai?
Dikhta hai toh sirf andhera,
Kahin latakta unn bejaan jhoolon mai, jaha kabhi bachpan ka shor gunjta tha.
Vo sadak ke beech mai ithen(Brick) lagakar cricket khelna, Aur diwaaron pe nishan lagake football marna yaad hai?
Kho gaya hai bachpan,
Kho gaye woh khel.
Un sadko pe ab sirf kaanch ki tooti botalen nazar aati hai, Un deewaron sirf paan ki peek he ab baaki hai.
Woh hath jinmai hote the ballee, ab cigarette nazar ati hai.
Woh baal the jo chotiyo mai lipte,
Ajeeb rango mai bikhre pate hai.
Bachpan kho raha hai,
Usse koi bachao!
Masumiyat kho rahi hai,
Usse koi bachao!
Sapne
SAPNE
Sapne dekho, Sapne dekhna zaroori hai,
Aanke khol kar ya karke band, parwah nahi,
Sapne dekho, Sapne dekhna zaroori hai.
Band aanko ke khwabo mai mana manjil nahi,
Par ummedon se bare armaan unmai bhee, hai kaee,
Sapno se na darna, sapne dekhna zaroori hia.
Raaton ke sapno mai mana roshani ki thodi kami hai,
Par uth kar unmai ujala bharna, bhee asambhav nahi hia.
Sapne dekho, Sapne dekhna zaroori hai.
Khuli aankho se dikhe jo khwab, woh bhee galat nahi,
Insani fitrat mai doobe woh pahad, mange bas ek himmat nayi
Sapne dekho, roz dekho, aur Sapne dekho kai.
Sapne toh bade bechare hai, galatfaimi ke khamakha mare hai,
Sirf sach he toh woh batate hai, humko alsi darpan dikhate hai,
Sapno ki hai paribhasha kai, jo bhee uthalo, wahi hai sahi.
Middle class ke sapne salary aur EMI’o mai bat jate hai,
Har mah kuch sapne jiye aur kai mar jatte hai,
Sapno ka par koi mool nahi, sapne sapne he kellate hai.
Garib ke sapne middle class ki hakikat,
Aur middle class ke khwab, elitist’s ka haal batlate hai,
Sapno ka kya dosh, woh toh kewal haal-e-dil jatate hai
Sapne dekho, Sapne dekhna zaroori hai,
Aanke khol kar ya karke band, parwah nahi,
Sapne dekho, Sapne dekhna zaroori hai.
Sapne hai kai prakar ke, atte hai har aakar ke,
Kabhi nai gadi ki khushboo, toh kabhi janu ki saree ka pallu,
Sapne bikte hai bazar mai, sapno se hai bhramand yeh.
Moh maya ka bandhan yeh sapne,
Apni kaya ka darpan yeh sapne,
Sapne khyal –o-khuab hai,
Apne andar ka dwar hai.
Nav ras ka yeh parmand hai,
Gat aur anagat kaal hai,
Dev aur asur ka jaal yeh sapne,
Toh kabhi Apsarao ka disco dance yeh sapne.
Sapne dekho, Sapne dekhna zaroori hai,
Aanke khol kar ya karke band, parwah nahi,
Sapne dekho, Sapne dekhna zaroori hai.
The Start-up Poem
The Start-up Poem
Hua re hua re hua,
kuch toh nice hua,
Ek start-up, rise hua.
Mili kahi se, kisi ko funding,
Aur kisi ke dil mai phir ek spark hua,
Kuch toh nice hua,
Ek start up rise hua.
Chod di tankhwa,
Udi hai afwah
ESOP se beda par hua
Toh Career start hua,
Start up mai start hua
Dikha ke ungali,
Chae hai hum bhee,
Khud par jab vishwas hua,
Ek start up start hua,
Bada hi fast hua
Chord ke aalas, hue karmath ab,
Dar dar ghume, har ghar mai, prachar hua,
Ek start up start hua,
Bada he bright hua.
Dhundh dhund ke beche cheze,
Sab cheezon ka dekho phir
vyapar hua
Creditd pe yar hua,
Mil jayegi deal dilo ki,
aur bikega insurance bhee,
online ab sab start hua,
han mere yaar hua.
Jo mange ga mil jayega,
Google agar tu kar payga,
Chahe woh ho bichde yaar,
Ya ho phir koi super star
Mil jayega,
Han sab mil jayega.
Hua re hua re hua,
kuch toh nice hua,
Ek start-up, rise hua.
Option bade hai Karzo ke ab,
Karzo mai dooba dekho yeh sansaar hua
Har ek yaar hua
Pura sanssar hua
Hue hai ardsatt saal hume par
Ab bhee com–e baat kare hum
Dekho yeh kya haal hua
Bada behaal hua
Umar hai adhi,
Badi hai gadi,
Aur pehne woh denim aur khadi
Har VC ka udhhar hua
Jab start-up start hua,
Bada he fast hua
Hua re hua re hua,
kuch toh nice hua,
Ek start-up, rise hua.
21 December
21 December
21 December – Yaad rakhna yeh tariq,
Bade asmanjas mai padi thee, us din ek nari,
Sundarta ke jagat mai milla, kissi ko vishav sundari ka khitab,
Aur agale he pal chin lia, bol kar galati hui janab.
Yeh galati toh fir bhee sah lenge,
Atte mai nama, samajhke reh lenge.
Par kaise an-dekha karn uss gunah ko janab,
Who ravan, voh dushyasan, jab reeha hua aaj.
21 December – Yaad rakhna yeh tariq,
Bade asmanjas mai padi thee, us din ek nari,
Kahin mil raha use samman,
Kahin ho raha tiras-kaar,
Kahin ho rahi wah-wahi,
Kahin mach raha ha-ha-kaar.
Jag wahi, par desho mai doori,
Pookaren jisse mata, ussi bharat ki kismet phooti.
Subscribe to:
Posts (Atom)